Ghum Ka Fasana Lyrics

Gam Ka Fasana Ban Gaya Achcha
Ek Bahana Ban Gaya Achcha
Sarkaar Ne Aake Mera Haal Tho Puchha
Gam Ka Fasana Ban Gaya Achcha

Achcha Ji

Tumhare Kayalon Mein Kho Jaayen
Ye Ji Chahata Hai Ke So Jaayen
Dekho Baaton Baaton Mein Chaandni Raaton Mein
Kwaab Suhana Ban Gaya Achcha

Bataayen Tumhe Kya Kahaan Dard Hai
Yahan Haath Rakhna Yahan Dard Hai
Dekho Baaton Baaton Mein Do Hi Mulaqaaton Mein
Dil Ye Nishana Ban Gaya Achcha

Achcha Ji

Mohabbat Ki Rangeen Mehefil Mein
Jagah Mil Gayi Aapke Dil Mein


--ContriButed By Adnan.I.M
Dekho Baaton Baaton Mein Pyaar Ki Baaton Mein
Apna Tikaana Ban Gaya Achcha

Gam Ka Fasana Ban Gaya Achcha
Ek Bahana Ban Gaya Achcha
Sarkaar Ne Aake Mera Haal Tho Puchha

Newest Kishore Kumar & Leena Lyrics

  1. Ghum Ka Fasana