Dil Kya Kare Lyrics

Jaadu sa chhaane laga
paagal banaane laga
kuch yaad aane laga
kuch bhool jaane laga
kya na kare? kya kare?
yeh dil kya kare, yeh dil kya kare

deewana paagal sa dil
aankhon ke kaajal sa dil
laheraate aanchal sa dil
zulfon ke baadal sa dil
tarse na yeh, barse na yeh
yeh dil kya kare, yeh dil kya kare

tumse churaa le tumhe
sabse chhupaa le tumhe
jaan se lagaa le tumhe
sapna banaa le tumhe
main betaab hoon, tu bechain hai
yeh dil kya kare, yeh dul kya kare

Jaadu sa chhaane laga
paagal banaane laga
kuch yaad aane laga

Newest Udit Narayan & Alka Yagnik Lyrics

Top Artists